How to unlock Any Iphone Apple Id 100% Working tricks - Hindi Me Jankari - Online Internet Se Sabhi Hindi Me Help !

Latest

Wednesday 28 March 2018

How to unlock Any Iphone Apple Id 100% Working tricks

Hi namskar dosto aapko aaj hum ek khas trick btane ja rhe hai jo Iphone users ke bhut jyada kam aayegi.


Related image

Aaj ki hamari post hai ki Apple Id Password Kaise Recover Kare. Sabhi iPhone, iPad, iPod, or Apple Watch me Apple Id hota hai. Dosto ye id bhut jyada khas hoti hai apple products me. Ye iTunes Store, the App Store, Apple Music, and iCloud service ko use karne ke liye bahut jaruri hai. Apple Id sirf account nahi hai, yadi aap iphone ka password bhul jate hai to Apple Id se recover kar sakte hai. Hum aapko bhut hi aasan tarike se bta rhe hai ki kase aap apni id ko recover kar sakte hai.


Kaise Apple Id Password Recover Kare

Dosto aapko bta de ki Apple account ka password reset karne ke liye bahut se tarike hai. Dosto agr ek method work nahi karega to second tricks se account recover kar sakte hai. Lekin dosto hum aapko yha bhut hi asan tarika bta rhe hai jo bilkul aache se kam krega or aap aasani se samaj bhi paoge. Apple ID ka account recovery karna easy hai agr aap hamre bataye gaye steps ko sahi se follow karenge.
Dosto aapko bta de ki iTunes par shopping, iCloud me singin, app buy karne ke liye Apple account hona jaruri hai. Password reset karke Apple Id email jan sakte hai. To chaliye dosto ab hum bat krte hai ki kase hum ye trick use kar skate hai.

Apple Id Password Reset Kaise Kare

Dosto sabse pahle aap apne computer ko on kre or login kr le check kre ki internet kam krta hona chahiye.
  • Ab apne PC me koi bhi browser open kare.
  • Phir usme Apple ID Account Page khole.
  • Forgot Apple ID or password option par click kare. ye login ke niche hi aapko diya huaa mil jayega 


  • Dosto ab Apple Id enter kare, aur reset your password ko select kare, phir Continue option par tap kare.
Thoda sa wait kre or isko aage badne de. Niche ki line pade dyan se.
Agar aap apna Apple ID bhi bhul chuke hai toh Forget Apple Id pe click kare. Ek new page open hoga jisme apko First name, second Name and Email Id enter karna hai. Phir Continue option pe jaye
  • Dosto ab aapko Email Id par ek instruction mail jayega.
  • Email dekhe aur Answer Security Questions par click kare.



  • Ab aapko jo security question apple id me set tha uska answer dene par Password reset ka option milega.
  • Ab apple id ka password reset kare.

Two-Factor Authentication ID Recover Kare

Image result for apple id
Dosto ab hum aapko Two-Factor Authentication ke bare me batane ja rhe hai ki aap iske use se bhi id ko recover kar sakte hai to chaliye bat karte hai ki kase aap isko use kar sakte hai.
  • Kisi bhi device ke browser me http://iforgot.apple.com/ open kare.
  • Phir Enter Your apple Id me jaye, Recovery Key enter kare.
  • Trusted recovery device select kare.
  • Ab Verification Code enter kare.
  • New page ayega, isme new password set kare aur Reset Password select kare.
Aapko bta de dosto, apple Id ka password recover, reset karne ke liye yaha 2 method bataye gaye hai. App kisi bhi method se Apple account ka password reset kar sakte hai. Aap two step verification ya remail se kisi se bhi password recovery kar sakte hai.Ye dono hi bhut aasan method hai.
Dosto ab password reset karne ke baad Signin karne ke liye kaha jayega, phir new password enter karke login karna hai. Phir device ke apple service me password update karna hai. Ye karna bhut hi jauri hai.

Dosto agr aapko ye post pasand aayi hai to share kre or agr Abhi bhi password reset karne me problem hai toh check kare ki Apple Id sahi hai ya galat. Bahut bar aisa hota hai ki primary email address hi apple Id ka email hota hai. Aap hume comments me bhi puch sakte hai agr aapko koi problem hoti hai to.
Tags: apple id forgot hindi,iphone ko unlock kaise kare,how to create apple id in hindi,iphone ka lock kaise tode,iphone ki id banane ka tarika,iphone ka password kaise tode,i forgot.apple id password reset,i forgot my apple id password and email,forgot apple id password on iphone,forgot icloud password and cannot access email,apple id account page,forgot icloud email password,reset icloud password,iphone ko unlock kaise kare,iphone ka lock kaise khole,how to create apple id in hindi,iphone 5s chori ka,iphone 6 ka lock kaise tode,apple 5s ka lock kaise tode,apple id kaise banaye

3 comments:

  1. mere apple 4s ki id or password bhul chuke h or bill bhi nhi h

    ReplyDelete
  2. very nice info of your blog and i want to share some tech info if your user face some issue related in blow
    click on the link and fix your issue
    suddenlink email settings
    icloud email password reset
    cancel icloud

    ReplyDelete